As Islamophobia and a narrative of Hindu Rashtra have started to make an impact on masses in India, the cherished culture and conversations around communal harmony – brotherhood is fast receding and becoming a thing of past.
Being a Muslim in these times comes with its stereotypes and everyday difficulties. Hussain Haidry, who often talks of his experience as an Indian Muslim layered around multiple identities through his poems, is now going viral for another poem titled ‘Dogle’. This time he takes a dig at the refusal of some to distinguish the oppressed from the oppressor. In common parlance what the poet is seen jibing at is called’ politics of balancing’ where false equivalence is drawn between the oppressed and the oppressor.
Hussain’s poem is in the specific context of the reaction coming from those who refuse to see the Delhi Pogrom as violence initiated by the side of Hindutva majority. He refers to people refusing to acknowledge the violence as one side aggression as Dogle.
Here are bits of Dogle:
Ye daastaano ko bunne wale
Ye ek rasta na chunne wale
Ye dono tarafo ki kehne wale
Ye bich mein ja ke rehne wale
Tamam duniya ke samne ab
Sabak mohobbat ka de rahe hain
Ye keh rahe hain ki jo hua hai, wo ho gaya hai- so bhul jao.
Ye keh rahe hain ki jo dukaane, jo dil jale hain- wo bhul jao.
Ye keh rahe hain ki ghar me ghus kar, sitam jo dhaaye- wo bhul jao.
Ye keh rahe hain ki jo hain kaatil, ab unke naamo ko bhul jao.
Ye keh rahe hain ki dafn kar aao
Saari laashon ko khamoshi se
Ye keh rahe hain ki ab daba do
Tamam cheekon ko khamoshi se
Ye keh rahe hain ki ab sadak par
Utarna raato ko khamoshi se
Ye keh rahe hain ki sunte jao
Aman ki baato ko khamoshi se
Ye dukh pe mere, na rone wale
Ye waqt padne pe, khone wale
Ye muskura ke, mukarne wale
Ye khauf kha kha ke, marne wale
Tamam duniya ke samne jo sabak mohobbat ka de rahe hain
Main apse keh raha hu yaaro-
Ye dogle hain, ye dogle hain.
Ye chahte hain ki zaalimo ke
Jo zulm hain wo na hum ginaayein
Ye chahte hain har ek ilzam ko
Barabar hi baata jaye
Ye chahte hain tabaahio par sawal koi bhi na uthaye
Ye chahte hain udaasio par zyada maatam bhi na banaein
Ye chahte hain ki inke daaman pe khoon ke daag na lag jaye
Ye chahte hain ki zikr insaf ka, kahi par na hone paaye
Purani chalaki hai ye inki
Ye kisse hum pehle sun chuke hain
Rafa-dafa kar rahe hai jo masla
Ye sharm aur darr se bhar gaye hain
Khade the kaatil ka sath dene
Ye bat ab ye bhi jante hain
Lahu ki sunwaai ho na jaye
So hath pehle hi dho rahe hain
Ye ab jo badnaam ho rhe hain
Ye ab jo tareekh mein lutt rahe hain
Ye ab izzat hi kho chuke hain
Ye ek hi baat keh rahe hain
Ye dogle hain, ye dogle hain.
Ye dogle hain, ye dogle hain.